Top 5 Free Cloud Storage Services 2020 1.Google Drive Cloud Storage Google drive aap ko 15 Gb free storage deta hai.aap jo be gmail id banat...
Top 5 Free Cloud Storage Services 2020
1.Google Drive Cloud Storage
Google drive aap ko 15 Gb free storage deta hai.aap jo be gmail id banate hai.to google drive us ke sath connect hota.our aap ke gmail account me jitne email aate hai pictures aate hai.ya aap un se email karte hai.ya google per aap koi cheez save karte hai.to wo automatically google drive me save hota hai.aap jitne be gmail id create karenge har aik gmail id per aap ko 15gb free storage milta hai.ye google ka product hai jo ke kafi acha hai.
2.Onedrive Cloud Storage
one drive microsoft company ka product hai.jis tarha windows 7,8,10 microsoft ka product hai bilkul usi tarha onedrive be hai.our aap ko to pata hai ke microsoft company ketni famous hai puri dunya me.to us tarha se onedrive be kafi famous hai.onedrive be aap ko 100 GB free storage deta hai.
3.Dropbox Cloud Storage
Dropbox 5 Gb free storage deta hai aap ko jis me aap apne files save kar sakte hai.our 5 gb uper files store karne ke liye aap ko pay karna pade ga.dropbox kafi famous cloud storage provider hai.kyu ke ye buhat pehle shuru huwa tha.aap ko to maloom hoga ke dropbox aap ko 500Mb free deta hai agar aap kisi ko refer karte hai our wo use install karta hai.to dropbox me aap ko kafi ache features milenge lekin free space aap ko sirf 5 GB milega.
4.Mega Cloud Storage
Dropbox cloud storage se jo aage hai wo hai mega cloud storage.mega ka naam sunte he aap ko andaza ho gaya hoga ke koi buhat bada cheez hai.mega 50gb free storage deta hai aap ko.jo mere khayal se kafi zyada hai.50 GB tak data bilkul free me aap me aap mega me save kar sakte hai.our kisi be waqt aap us se apna data retrieve kar sakte hai.
5.Degoo Cloud Storage
Mega cloud storage ke baad aata hai sab ka baap degoo.degoo 100 Gb free storage deta hai aap ko.friends our cloud storage services ka mila ke be 100 Gb nahi hoga our degoo akela aap ko 100 Gb free Storage deta hai.me to 15 Gb me apna pura data manage kar leta hu.100 Gb to mere khayal se kafi zyada hai.
